Wednesday, 19 July 2017

Tere Liye

Ek haath ka faasla tha, haath milane ke liye,
Tune do kadam aur piche le liye, har vasl mitane ke liye,
Lamhe kuch nadaan the, bohot kuch samjhane ke liye,
Tera achanak chale jaana kaafi tha, unhe mohabbat sikhane ke liye,
Ek pyala kaafi lagta tha, har gham mitane ke liye,
Aaj maikhana bhi itrata hai, mera saath nibhane ke liye,
Duniya kehti hai dil mein dard chahiye kuch likhne ke liye,
Maine to qasiide padh daale teri raah mein bichne ke liye,
Ek samay tha, jab waqt tha daud lagane ke liye,
Ab to suiyan bhi itrati hai, ek kadam badhane ke liye,
Kagaz ki kashti to banti hai doob jaane ke liye,
Humein to kisi ne paani me dhakel diya, khud ko paar lagane ke liye,
Paani se beh gaye, kuch tu kuch main jiske liye,
Wo ishq kya thi khata kuch mere liye kuch tere liye.

Sunday, 16 July 2017

Kahani

Harf dar harf ek kahani tujhe sunani hai,
Kisi ke khwabon mein lipti yeh daastaan purani hai,
Yeh meri nahi, lamhon ke muntazar kuch lamhon ki zubani hai,
Kisi ke vaadon mein uljhi,
Kisi ke suraj mein phigli,
Kisi ke pairon mein kuchli,
Kisi ke haathon se phisli,
Is daastaan ko shayad ruhaniyat naseeb na thi,
Chahe jaisa hota anjaam, mujhe aarzo-e-rakeeb na thi,
Ek nao jaise bina maanjhi ke thi,
Ek shajar ki sukhi shakhaein jaise bina aandhi ke thi,
Vasl ki raat jo laaye, aisi har shaam begaani thi,
Is raja ki siyasat bhi bina apni rani ke thi,
Aur kahani tujhe kya sunau, jab koi kahani hi na thi.