Soch jahan pichad gayi, zindagi wahan ujad gayi,
Chale the jis raah pe, woh manzil se hi bichad gayi,
Daayron mein jo simat gayi, zindagi wahan theher gayi,
Jab hawa ko kuch pal roka, ban sailab barsa ke keher gayi,
Bhakti mein jo lag gayi, zindagi wahan jhuk gayi,
Sab darr tyag kar maan liya jo khud ko apna bhagwaan, de kar woh hazaar sukh gayi,
Ghadi ki suiyon ke piche jo daudi, zindagi wahan tham gayi,
Apni marzi se aaye nahi, apni marzi se jee to le, kya yeh bhi kam nahi,
Paison ke piche jo bhaga, zindagi wahan sharm gayi,
Apni soch kar zindagi guzaar do, kya daulat de kar tujhe yahi karm gayi,
Khud ko dekha jab aaine mein, to zindagi jaise bikhar gayi,
Kaanch to abhi bhi thos tha, par mere bhitar ki dararein nikhar gayi.