Thursday, 26 January 2017

Sweet Love

You are the one who sleeps with me,
The one who weeps with me,
The only reason I live,
To whom this life I give,
With me you have lived half this life,
And the remaining will be as my wife,
The happiness you give to this soul,
Is far beyond of the universe as a whole,
The steps we take holding hands,
Are the stepping blocks to the fairy lands,
The calmness you give to this troubled heart,
Is like the silence of the runner before the dart,
You will always be my best friend,
Because conversations with you never wish to end,
Each time I get to relax on your lap,
Afternoons and evenings pass by in a snap,
Come let's live together the same way,
In the house of love forever to stay.

Wednesday, 25 January 2017

Tears Of Joy

When a mother holds her baby for the first time,
When the mountaineer finishes his climb,
When you see your beloved after a long while,
When you receive your first job's appointment file,
When a lover proposes for marriage,
When you are amazed by a disabled man's courage,
When you achieve your life's biggest success,
A tear rolls down your eyes,
It's the joy of the soul touching the skies,
A fountain of feeling finds its way through the heart,
From the heart towards the eyes it takes a start,
The face has a wide grin in its anticipation,
The eyes gleam to enlighten the situation,
The feelings finally arrive engulfed in a tear,
The smile accompanies it like the most perfect pair,
It is this alliance for which the heart yearns,
And the feeling of love with which it always returns.

Tuesday, 24 January 2017

Vows Of The Heart

When the flight of life hits a turbulent cloud,
When the feeling of lonliness strikes in a crowd,
When the longings of the heart shout out loud,
We need to look back at the promises we vowed.
The commitments we made from our heart,
The words that came out without the mind taking a part,
Be it with ourselves or to someone beloved,
Are the only words that can take you back above.
The statement which comes from the soul,
Is what always defines your true role,
It is the calling of the universe,
Which will always take you out of the worse.
Take a back seat and remember those vows,
Recollect all those words and be delighted by the confidence they arouse,
A radiant life is lived by following the voice of the heart,
Because it is the heart, not the mind, which is the soul of every art.

Sunday, 22 January 2017

You And Me

When I embrace you in my arms,
You and me are shielded from all harms,
The world stops to view the spectacle of fusion,
What may seem deceptive to others is no illusion,
Our closed eyes live the moment within,
And from the subconscious comes to our face, a wide grin,
The rush of love brings goosebumps on the skin,
The body certifying that this person is a kin,
The hands resist to leave the fold,
Eyes now open are glittering like gold,
We look into each other with profound amazement,
Our hearts have now found a home, which were till now vagrant,
I drop a sweet breath on your neck,
And present your pink cheeks a cute peck,
Swiftly you grasp me in your serenity,
As you and me start the voyage to our new identity.

Saturday, 21 January 2017

Fears Of The Heart

Fears which surround our heart,
Are nails planted to tear it apart,
The steps that we defy to take,
The decisions that we resist to make,
The dreams which we  delay to chase,
The confidence which we refuse to raise,
The job that we refuse to quit,
The passion which has been reduced to a bit,
Are all fears within us well knit.
Life is meant to be lived free,
Untied of all shackles on an independent spree,
Walk along readily on the path of the heart,
It is this road that leads to your destiny,
And makes you discover your true identity,
This is where your true happiness lies,
Where the spirits of your soul rise,
That's the point where all the fear within you dies.

Friday, 20 January 2017

Amar Prem

Jo tere saath beeta ek dashak,
Wo zindagi ka hissa nahi zindagi hi thi,
Jo tere aur mere dil mein thi kasak,
Wo gham ka kissa nahi bandgi hi thi,
Jo tune thama tha mera haath,
Mere liye ishwar ka saaya tha tera saath,
Jo tune pehli baar dil se liya tha mera naam,
Us din se meri pehchan nahi reh gayi thi aam,
Teri har ek ada mujhe madhosh kar gayi,
Tere chehre ki wo chamak mujhe behosh kar gayi,
Teri parchai jo mujh par padi,
Meri zindagi ki dasha badal gayi,
Maine thama jo tera aanchal,
Meri dubti huyi kashti sambhal gayi,
Aaj is dil ke har kone mein tera ghar hai,
Main to mar jaunga kal, lekin mera pyaar amar hai.

Thursday, 19 January 2017

Meri Duniya

Teri saans ki aahat jo mujhe mili,
Tujhe pa ke yeh duniya meri khili,
Teri god mein sar chiphaye jo shaamein dhali,
Mere upar se duniya ki saari buri balaein tali,
Teri dabi aawaz mein suna jo ek madhur geet,
Un lafzon ko gungunate bhula di duniya ki har reet,
Tere haath par ungli se jo likhe the alfaaz,
Wo humare pyaar ki dastaan thi, jis par poori duniya ko hai naaz,
Tere aagosh mein guzri jo har shaam,
Duniya ki har khushi kar di tune mere naam,
Tere dil ki dhadkan jo suni thi pehli baar,
Ehsaas hua yeh meri hai, jab se dhadki thi duniya mein pehli baar,
Ho gaya hai tujhse pyaar, jab yeh jaana tha,
Usi din se mera mukaam, duniya mein bas tujhe paana tha.

Monday, 16 January 2017

Bheege Naina

Jo aankhen tere saath har khwab dekhti thi,
Tere saath dophar ki dhoop sekti thi,
Neend se mohlat le kar tere saath jaagti thi,
Har pal bas tera hi deedar maangti thi,
Jo naina tere saath kayi khel khelte the,
Tere chehre ka har gham jhelte the,
Jo teri khubsurti dekh kar khil uthte the,
Aur teri muskaan par dil de baithte the,
Aaj aasmaan ko taakte rehte hain wahi naina,
Khidkiyon se jhaankte rehte hain wahi naina,
Aansuon se bheeg kar ro jaate hain wahi naina,
Jalan se thak kar so jaate hain wahi naina,
Meri palkhon ka bistar the tere naina,
Aaj patharon par raat kaat te hai yeh naina,
Kal tak bas ujala hi tha meri palkhon ke aage,
Aaj raat se andhera chaant te hain yeh naina.

Sunday, 15 January 2017

Kapil Sharma

Shuruat ki thi aapne ek pratiyogita jeet,
Tabhi se bana liya tha sabko apna meet,
Phir kabhi aapne peeche mud kar nahi dekha,
Laanghte chale gaye aap har jeet ki rekha,
Navjot sir ka saath aapne kabhi nahi choda,
Wahi to hain is maharana ka chetak ghoda,
Aag bhi aapke mansubon ko pighla na saki,
Kisi se mili thokar bhi aapko hila na saki,
Jab log sochne lage the ki aap kahan gaye hain kho,
Aap le kar aa gaye the Kapil Sharma show,
Na jaane kitne marizon ko aapne behtar kar diya,
Aur hasi ke shehenshah ka khitab apne naam kar liya,
Aaj is desh mein har jagah bas aapke hi charche hain,
Aapke tax se hi to chalte sarkar ke kharche hain,
Insaanon ko khushi di aapne aur jaanwaro ko pyaar diya,
Mere dil ke kai ghamo ko bhi aapne hi khushiyon se siya.

Saturday, 14 January 2017

Junoon

Is lamhe mein hi chipi saari zindagi hai,
Jo aaj kara de tumhe pyaar ka ehsaas, wahi bandgi hai,
Na kal tha aur na kal hoga,
Is pal mein hi jeevan hi har khushi hai.

Aaj ek khwab apni aankhon mein basa lo,
Ek vishwas apni ragon mein bhar lo,
Kisi takraye ajnabi se chaar baatein kar lo,
Aaj ek jaanwar ko thoda sa pyaar kar lo,
Suraj se pehle uth kar keh do ki hum zinda hain,
Khilkhilate chehre se bata do ki humare gham chuninda hain,
Jhoom ke naach utho aaj apni masti mein,
Bohot hunar chupa hai teri is hasti mein,
Jo junoon hai tere dil ka, wahi is manzar ka mukam hoga,
Apni chahat ko ibadat bana le, phir tu hi shehenshah-e-aam hoga.

Friday, 13 January 2017

Humara Safar

Tera saath aur humara safar,
Hai isse khubsurat aur kuch nahi mere humsafar,
Mere dil ki sahi banawat jaanti hai tu,
Use sada se apna hi to maanti hai tu,
Kisi hakim ki tarah mere sharir ki har hulchul pehchan leti hai tu,
Aur har mushkil mein khud ko mera hakim hi maan leti hai tu,
Tere saath beeta har pal aaj bhi zinda hai,
Tere pass na reh saka, aise pal hi chuninda hai,
Mujhe har us pal ke liye afsos hai,
Dil mein bhara aaj bhi apne liye rosh hai,
Par tune baaki saare palon ko apni aamadgi se jeevant kar diya,
Mujhe aur humare pyaar ko sada ke liye anant kar diya,
Tere pyaar mein bhool gaya sab,
Aur kisi cheez ka hosh hi nahi,
Par haan mujhe yaad hai wo sab,
Jo kabhi hua hi nahi.

Thursday, 12 January 2017

Shiksha

Jab bhi in aankhon mein khushi ka aansu aata hai,
Jab bhi yeh dil koi mukam paata hai,
Jab bhi mera sar dard pakad jaata hai,
Jab bhi koi gham dil ko yaad aa jaata hai,
Jab koi safalta mujhe gale lagati hai,
Jab kisi itr ki khusboo mujhe bohot bhaati hai,
Jab prakriti mujhe apne khubsurat rang dikhati hai,
Jab koi nukili cheez mere sharir par ghao kar jaati hai,
Jab der raat neend mujhe satati hai,
Jab thandi hawaein is sharir ko kapati hai,
Har us pal mujhe bas teri hi yaad aati hai,
Khushi ho ya gham, yeh dhadkan tujhe hi bulati hai,
Tujhe ishwar ne mere liye vardaan banaya hai,
Kyuki mere jeevan mein jab bhi aisa koi mod aaya hai,
Maine har us mod par tujhe apne saath khada paaya hai.

Wednesday, 11 January 2017

Behti Nadi

Kisi vishal parvat se hota hai uska srijan,
Chali hai apni lambi yatra shuru karne, bhigoke apna tan,
Jeevan hai uska srishti ki pyaas bhujana,
Par uski jeevan leela ko hai kitno ne jaana.

Peda hote hi uska sangarsh shuru ho jaata hai,
Path ka har patthar jaise use yudh ke liye lalkarta hai,
Un par vijay prapt kar ke hi aage hi raah savarti hai,
Har jeet ke baad wo apni awaaz se vijay ka udghosh karti hai.

Manav jaati mein wo maa kehlati hai,
Poore jeevan har kadam uski pyaas bujhati hai,
Uske sharir aur aatma ko pavitra karati hai,
Aur ant mein apne pran tyaag kar samudra mein mil jaati hai.

Nadi ne apna har lamha jiya bas tumahre liye,
Wo ladi to bas tumhe savarne ke liye,
Wo kati to bas tumhe ubharne ke liye,
Aur hum jeete reh gaye apna matlab nikalne ke liye.

Monday, 9 January 2017

Aazad Panchi

Panchi rehte hain aakaash ki fizaon mein,
Indradhanush ke saat rang milte hain jahan hawaon mein,
Pankh lehrate paar kar lete hain kai samandar,
Na jaane kis manzil ka raasta khoj rahe hain apne andar.

Koi sarhad ka darwaza unke liye nahi bana hai,
Use paar karna to bas insaanon ke liye mana hai,
Wo nahi humari tarah bani hui sadkon par chalte hain,
Wo to bekhauf nayi disha aur nayi uchaiyon ki aur badhte hain.

Unhe ghar ka moh bhi nahi satata hai,
Jahan ruk jaye udaan, wahi unka naya ghar kehlata hai,
Kabhi nadi ke kinare to kabhi ped ki daal par,
Wo shayad nirbhar rehte hain sirf apne ishwar ki dhaal par.

Kaash insaan bhi pakshi ki tarah soch paye,
Tod de apne saare bandhan aur apni khwahison ki aur kadam badhaye,
Chod ke har moh maya ko, apne bhitar ishwar jagaye,
Aazad ho jaye is duniya se aur apni khushiyon ko pankh lagaye.

Sunday, 8 January 2017

Tera Nasha

Nahi samajh paya tere jawabon ko,
Nasha chada hai aaj chalakti sharabon ko,
Pi liya ek jaam to mujhe bhi chad jayegi,
Jo hai khumari tere liye wo aur bhi badh jayegi.

Bohot piye hain jaam tere ishq ke pyale mein,
Nashe mein kar diya khud ko tere hawale mein,
Tune hi har kadam mujhko sambhala hai,
Tu hi mera sarmaya, tu hi rakhwala hai.

Har ghoont sharab ka tera nasha deta hai,
Teri yaad mein tarbatar duba deta hai,
Kaise wapas aaun phir hosh mein,
Aisa hi accha hun teri aaghosh mein.

Sharab ka nasha tujhse bohot kam hai,
Wo to gham ko bas bahar nikaal sakta hai,
Tu hi hai jo us gham ko mita sakta hai,
Aur is zindagi ko sada gulzar rakhta hai.

Saturday, 7 January 2017

Mere Khuda

Mere khuda ne aaj keh diya tu akela hai,
Khushi aur gham ka khel tere saath khela hai,
Unchi aawaz mein suna diya usne apna farmaan,
Tod ke le gaya meri rooh aur meri jaan.

Usne kaha har chaal tujhe hi chalni hai,
Yudh ki har chot tujhe hi khalni hai,
Main to raja hun, tujhe kuchal ke aage badh jaunga,
Har katl ka ilzaam tere hawale kar jaunga.

Badh jaana zindagi mein aage aur dhundh lena apna raasta,
Bhool jaana kabhi mujhse tha tumhara koi vaasta,
Maaf karna khuda par main ye nahi maan sakta,
Tere bina main khud ko hi nahi jaan sakta.

Tune diya tha saath isliye aaj yahan khada hun,
Tere sahare se hi itni aage tak bhada hun,
Kar le ek baar phir nazar apni riyasat ke is bande par,
Tanha mat chod ke ja use faasi ke fande par.

Friday, 6 January 2017

Tera Intezar

Yeh raaste kuch veeran ho gaye hain,
Khali kuch makan ho gaye hain,
Hai pasra yahan sirf ghana andhera,
Pehchanna mushkil hai, kaun hai kamzarf, kaun hai mera.

Mere aangan mein bas dhoop ka hi saya tha,
Andhera aisa pehle kabhi chaya na tha,
Ujle the din aur raat jis chaman mein,
Poore huye the main aur tum usi aman mein.

Ped ki shaakhein tere saath geet gaati thi,
Paani ki boondein teri sarsarahat se bheeg jaati thi,
Teri payal ki chan chan sugam sangeet banati thi,
Chand ki chandni bhi tera aashish le kar aati thi.

Intezar hai in sadkon ko teri aamad ka,
Andhere ki aane wali shamat ka,
Tere aane ka ehsaas mere saath hi hai,
Dekh le mera chehra, teri muskurahat mere saath hi hai.

Thursday, 5 January 2017

Tujhe Chua Hai

Aaj tujhe Jo chue hawa, wo main hi hun,
Teri rooh ko kapade, wo thandi fiza main hi hun,
Tujh mein ghul kar ho jaata hun main garm,
Teri har aahat, har saans hi karti hai mujhe narm.

Jo chuta hai tujhe ped se gira ek safed pankh, wo main hi hun,
Apne murshid se toota tera hone ke liye,
Sharir se dil ka safar poora karne ke liye,
Tujhe chu kar, ab main taiyar hun kisi bhi per ke neeche kuchalne ke liye.

Jo chuta hai tujhe paani, wo main hi hun,
Ek boond hi sahi, tujh par rehne ko tarasta main hi hun,
Jitna tujhe hai, usse zyada darr mujhe tere na hone ka satata hai,
Apne labon se laga kar, tu apni nahi, meri pyaas bujhata hai.

Tere sar ko aaram deta sirhana main hi hun,
Maine hi tere khilte huye chehre ko apne andar samaya hai,
Tere saare aansuon ko tujh se lag kar mitaya hai,
Tere saare haseen khwabon ko teri rooh tak pohochaya hai,
Tere saath hone ka rishta, mujhse behtar kisne nibhaya hai.

Wednesday, 4 January 2017

Meri Zindagi

Tere aane se Maine jaana, 
Pyaar lafs, hota hai kitna suhana,
Tera naam sun ke khil uthta hai mera chehra,
Shaam bhi apna sar jhuka ke bana deti hai sehra.

Is zindagi ki aayat tu hi hai,
Jab bhi bhatka main to raah dikha gayi,
Jab chua to lamha yaadgaar bana gayi,
Aur jab haath mein liya to mujhe bhi aayat bana gayi.

Ye nazren tujhe hi dhundhti hai har kahin,
Chahti hain deedar aur koi nahi,
Hun main bhi yahin, ho tum bhi yahin,
Ab Tum hi batao, yeh hai sitam ya hai Sahi.

Tera Saath hi to mera rutba hai,
Tujhse hi to aata mera har jazba hai,
Main tere bin Hun Kya, Meri koi aukaat nahi,
Main tere saath hi raha bas, aur Meri koi yaddasht nahi.