Is lamhe mein hi chipi saari zindagi hai,
Jo aaj kara de tumhe pyaar ka ehsaas, wahi bandgi hai,
Na kal tha aur na kal hoga,
Is pal mein hi jeevan hi har khushi hai.
Aaj ek khwab apni aankhon mein basa lo,
Ek vishwas apni ragon mein bhar lo,
Kisi takraye ajnabi se chaar baatein kar lo,
Aaj ek jaanwar ko thoda sa pyaar kar lo,
Suraj se pehle uth kar keh do ki hum zinda hain,
Khilkhilate chehre se bata do ki humare gham chuninda hain,
Jhoom ke naach utho aaj apni masti mein,
Bohot hunar chupa hai teri is hasti mein,
Jo junoon hai tere dil ka, wahi is manzar ka mukam hoga,
Apni chahat ko ibadat bana le, phir tu hi shehenshah-e-aam hoga.
No comments:
Post a Comment