Friday, 10 November 2017

Mujh Sarika

Kadam jab har pal chale jaanib-e-yaar,
Tab dil ko bhi kahan aata hai karar,
Har samt ab uska hi saya hai,
Hawa mein jaise ghul jaati har kaya hai,
Par jaanta hai dil ki yeh saya hakikat nahi hai,
Yeh ishq shayad aaj bhi mukammal nahi hai,
Kabhi aag ki chadar hai, kabhi kaanch ka raasta,
Humne sada dard se mehfuz rakha hai, ishq mein apna vaasta,
Ab ek chor par main hun, dusre chor pe khuda,
Tune mohabbat se kiya, main tujhse ho gaya judaa,
Dosti ka aaj bhi ek hi tarika hai,
Mila de usse jo mujhse zyada, mujh sarika hai.

No comments:

Post a Comment