Sunday 23 April 2017

Ek Shaks

Jahan main dekhun wahan bas tera hi aks hai,
Us gehre aks mein khojta tujhe ek shaks hai,
Ek shaks jo tujhse bohot pyaar karta hai,
Jiska dil bas tere deedar se hi bharta hai,
Teri yaad mein yeh dil khaali ho jaata hai,
Par teri ek muskaan se khile bagh ka maali ho jaata hai,
Teri har guzarish ye ab pehle se zyada maanta hai,
Bas waise hi jeena chahta hai, jaise tu usko jaanta hai,
Kabhi palkhein bhi chil jaati hain khare paani se,
Par yeh zindagi aaj bhi gulzar hai teri meri kahani se,
Raat ki karvatein, kamar aur aankh dono ko dard deti hai,
Lekin sab bhool jaata hai yeh sharir, jab ek jhapki bhi tera darsh deti hai,
Sapne mein bhi haathon ke aangan mein tujhe bharne ko jee chahta hai,
Main kin shabdon mein bayan karun wo chain, jo mujhe tab aata hai,
Aaj bhi dil mein kaabiz hai har wo khushi,  jo maine tujhse payi hai,
Tune chand, tara, nadi, parvat ban kar, meri yeh srishti jannat banai hai.

No comments:

Post a Comment