Thursday 27 April 2017

Raabta

Yeh jo toote rishton ka gehra zakham hai,
Yeh tera karam hai ya mera karam hai,
Jo mana maine khud ko tera mehram hai,
Yeh mera dharam hai ya tera dharam hai,
Jo teri yaadon ka surkh marham hai,
Yeh tera vehem hai ya mera vehem hai,
Jo in fati ungliyon ki darkaar hai,
Woh mera adhikaar hai ya tera adhikaar hai,
Jo mere kaano mein gunjti teri hasi ki aawaaz hai,
Yeh meri namaaz hai ya teri namaaz hai,
Karvatein badalti aur siskiyan leti jo yeh gehri raat hai,
Kya yahi tere aur mere pyaar ki aukaat hai,
Jo in haathon ki nafzon se dil tak ka raasta hai,
Kya usse bhi maheen tera mujhse raabta hai?

No comments:

Post a Comment