Friday 23 March 2018

Chalte Rehna

Waise to fursat nahi mere pass,
Phir bhi hasrat se chalta hun main,
Mauka milte hi nikal padta hun main,
Kisi gaadi mein baithe, bina bahar ki hawa ke,
Ya kisi scooter par sawar traffic se bachte bachate,
Isse accha kisi apne se kaho aao zara tehel aate,
Chalne se gaadi ka petrol bhi bachta hai,
Aur maa ka pyaar se khilaya ek zyada parantha bhi pachta hai,
Chalte samay aap aakaash ko yun nihaar sakte hai,
Jaise aap taaron ko bhi neeche utaar sakte hai,
Subah subah chalna thoda aasaan lagta hai,
Pollution ke bina insaan insaan lagta hai,
Paidal chalne ka lutf aur badh jaata hai,
Jab badalon par baarish ka saaya lehrata hai,
Gili mitti ki khushboo bohot hi suhani lagti hai,
Sukhe paidon par bikhri jaise nayi jawani lagti hai,
Chalte rehna hi is jeevan ki reet hai,
Baithe sab mil jaye, yeh to bas ek khwab hai,
Chalte rehne mein hi chupa har sawaal ka jawaab hai.

No comments:

Post a Comment