Friday 23 March 2018

Sapne

Raat ke safar mein neend tale,
Ek khushi ki dor aankhon tak dheeme chale,
Pal wo dikhlaye tumhe kuch suhane,
Muskaan jo le aaye chehre par jaane anjaane,
Bas sapno mein hi hai wo shiddat,
Jo ruthe mann ko bhi hasa sake,
Jo ghum mein doobe ko bhi nacha sake,
Uske chalne ki raftaar tez zaroor hai,
Par uska swad shaam tak rehne wala suhoor hai,
Jo uski aaghosh mein lipte to bahar na nikal paoge,
Aur agar hai koi raasta to manzil aane par hi paoge,
Accha wahi hai jo sapne khone na de,
Aur asal sapna wahi hai jo sone na de.

No comments:

Post a Comment