Wednesday 2 September 2015

Tere Sang

Main jab bhi zindagi ki dhoop mein tap jaata hun,
Jab bhi saare jhoothe rishton se thak jaata hun,
Jab bhi kisi purani yaad se darr jaata hun,
Tab kyu yeh dil bas tujhe hi yaad karta hai,
Kyu yaad kara deta hai ki tujhe kitna pyaar karta hai,
Jaise tu hi manjhi hai meri nao ka,
Jaise tu hi marhum hai mere har ghao ka,
Jaise tere saath hi zindagi ki har jeet hai,
Jaise tujhse hi saare sur, poora sangeet hai.

Koi bhi mushkil jab mere saamne aayi hai,
To woh ishwar ko nahi, tujhe mere zehen mein laayi hai,
Kyuki tere pyaar mein hi maine ishwar ko paaya hai,
Aur tere saath hamesha chalta uska saaya hai.

Main har pareshani mein bhi muskura jaata hun,
Tere pyaar ke bharose nidar aage bhada jaata hun,
Teri chahat se hi maine woh shakti paayi hai,
Jo bina aankhon ke bhi mujhe aabhaas kara de,
Kahan dariya hai aur kahan khai hai.

Tere is pyaar ki badolat hi main zinda hun,
Aazaad udta jaise bekhauf parinda hun,
Tere isi pyaar ki mujhe aur darkaar hai,
Kyuki tere bina yeh zindagi berang hai, bekaar hai.

No comments:

Post a Comment