Saturday 29 August 2015

Yeh Jeevan Hai

Yeh zindagi kabhi ek phoolon ka baag hai,
Kabhi kisi ke sapno ko jhulsaati huyi aag hai,
Kabhi kisi ke dil mein bajta pyaar ka madhur raag hai,
Yeh humein sikha jaati hai kayi anokhi kahaniyan,
Kabhi cheen leti hai to kabhi wapas de jaati hai jawaniyan.

Bachpan iski di huyi ek anuthi saugaat hai,
Aur maa ki mamta humare sar par rakhe ishwar ke hi haath hain.

Pyaar jeevan ka diya sabse bada inaam hai,
Jise na mil paya uska jeevan sabse aam hai,
Lekin jiska ishwar manzoor kar deta hai pyaar,
Uske liye khul jaate hain jaise swarg ke dwaar,
Wo jeevan ke saare sach samajh sakta hai,
Kyuki pyaar se har mushkil ka hal nikal sakta hai,
Zindagi ki har raah aasaan ho jaati hai,
Kyuki pyaar se har insaan ki pukhta pehchan ho jaati hai.

Humara yeh na samajh paana hi humari khala hai,
Ki dhoop mein tapana to jeevan ki ek kala hai,
Kyuki tap kar hi to matke gulzaar hote hain,
Warna chaon mein to lakhon mitti ke pahad hote hain.

Hum iski har seekh ko sitam samajh kar na kehte hain,
Magar is jeevan par mar mitne ko hi to jeena kehte hain.

No comments:

Post a Comment