Thursday 10 September 2015

Teri Meri Kahani

Mere haath mein jab bhi tera haath raha,
Khuda ke daman se mere vaaste noor baha,
Magar jab bhi main tujhse tanha raha,
Maine bas uski rusvai ko hi saha.

Humare kadam jab bhi saath mil kar chalte the,
Humare saaye bhi ek dusre mein dhalte the,
Lekin jab hum alag dishaon mein aage badhe,
Sirf takleefon ke pahad hi the saamne khade.

Tere aanchal mein pursukoon mein rehta tha,
Jaise shanti ke kisi dariya mein bekhauf behta tha,
Tere bina magar ab sirf becheni hi rehti hai,
Kahan le aaye tum hume, bas yahi zindagi kehti hai.

Teri nazron mein kuch jaadu to zaroor tha,
Jin mein dekh kar hume chad jaata halka suroor tha,
Aaj unhi aankhon mein khone ko hum taraste hain,
Aur tere deedar ki aas mein rozaana mere aansu baraste hain.

Teri jhulfon ki chaon mein kuch to baat thi,
Din ko bhi raat kar de, sooraj ki bhi kya aukaat thi,
Par ab to tanha raat mein bhi jal jaata hun,
Aur tere bina din mein hi dhal jaata hun.

Maine tujh par hi luta di apni poori zindgani hai,
Tujhe saamne baitha kar ab yeh gaatha sunani hai,
Main ek shehzada aur tu mere khwabon ki rani hai,
Zindagi aur kuch bhi nahi, bas teri meri kahani hai.

No comments:

Post a Comment