Thursday 26 November 2015

Teri Hasi

Jab bhi tere hothon pe muskurahat aati hai,
Meri rooh ek ajab sa sukoon paati hai,
Saans bhar leta hai samay bhi tujhe nihaarne mein,
Waqt ko waqt lag jaata hai khud ko ubhaarne mein.

Mere maathe ki saari lakeerein mit jaati hain,
Zindagi ki saari uljhi dorein kat jaati hain,
Tu jo muskura de ek baar dil khol ke,
Shrasti bhi tere aadhipatya ke liye lad jaati hai.

Teri hasi mein ek sunahri si shaam dekhta hun main,
Tere saamne is duniya ko aam hote dekhta hun main,
Anmol hai teri hasi ki wo goonj,
Baaki har ek aawaz ko sareaam hote dekhta hun main.

Tere gaal jab bade ho jaate hain muskurane se,
Tab chand bhi sharma jaata hai tere saamne aane se,
Kaun puchega phir uski khubsurti ko,
Agar wo tere saamne aa gaya apni kismat aazmane ko.

Teri muskurahat ki ibadat kar ke jee rahe hain hum,
Uska deedar kar ke bhool jaate hain saare shikve, saare ghum,
Agar maut bhi aa gayi kal to usko dikha denge,
Kis hasi se haseen thi meri zindagi, thoda usko bhi jeena sikha denge.

No comments:

Post a Comment