Tuesday 15 December 2015

Tere Naina

Teri khubsurat aankhon mein ek haseen jahaan dekhta hun,
Humare pyaar ke rangon mein saji ek ankahi dastaan dekhta hun,
Badhti jaye ye dastaan, haseen hota jaye ye jahaan,
Yahi prarthna liye, har roz tujh mein bhagwan dekhta hun.

Teri aankhen ugal deti hain saare raaz mujhe,
Dikha deti hain saare lamhe, saare shikve, sab gile,
Kabhi wahan gehre sannate bhi rehte hain,
Jab ashk baarish ki boondon se bhi zyada behte hain,
Bas yahi ek shikayat hai mujhe teri aakhon se,
Kyu ye bina roye sab nahi kehte hain.

Jab fel jaata hai teri aankh ka kajal,
Karha uthta hai dard se mera har pal,
Bas yahi teri ek aadat mujhe pasand nahi,
Baaki meri jaan bhi le le, mujhe koi gham nahi.

Teri aankhen bas khushi se muskurati rahe,
Pyaar ke geet hamesha yun hi gaati rahe,
Gum ho jaun sada ke liye inki gehrai mein,
Kabhi nazar bhi aaun to sirf teri parchai mein.

No comments:

Post a Comment