Monday 28 December 2015

Teri Hawa

Yeh behti hawa tera aanchal yaad dilati hai,
Na sard na garm, jahan bas teri fiza lehrati hai,
Teri ruhani khushboo mera poora bagh mehkati hai,
Main bhool jaata hun apne aap ko,
Har jagah bas teri hi riyasat nazar aati hai.

Yahan sukha bhi hai aur hariyali bhi,
Jaise tu hai bhi aur nahi bhi,
Tere hone se yeh mausam aur gulzar ho jaata,
Lekin agar tu na hoti to yeh sab bhi banjar aur bekaar ho jaata.

Koi shant hawa jab pedon ko chuti hai,
Kuch khushnuma sa unke kaano mein kehti hai,
Lehra uthte hain wo us awaaz se,
Khush ho jaate hain us ehsaas se,
Mujhe bhi bas usi awaaz aur ehsaas ki tamanna hai,
Sama le jo mujhko khud mein,
Tere aise jeevan ka ansh mujhe banna hai.

No comments:

Post a Comment