Wednesday 8 June 2016

Teri Duniya

Is dil mein jo hai chupa main kisi se na kehta,
Agar mere har kadam mein tu aks ban ke rehta,
Maine har safa bhul ke tujhe chaha tha,
Kaash tu bhi pyaar ke dariya mein saahil ban ke behta.

Maine is duniya se door banai hai ek duniya,
Jahan aaj bhi tera hi raaj chalta hai,
Jahan teri muskurahat se loha pighalta hai,
Jahan tere aane ki aahat se hawa ka rukh badalta hai,
Jahan sooraj tere kehne pe ugta hai aur tere ishare pe hi dhalta hai.

Jahan tere liye duniya ke har phool ki mahak hai,
Jahan bijli ka girna bhi tere krodh ki dahak hai,
Jahan ka kanoon tere dil ki aawaaz hai,
Jahan teri khushiyan hi us duniya ka aagaz hai.

Par aaj wo duniya kuch viraan si lagti hai,
Usmein rehne wale ki aankhen din raat chalakti hai,
Use intezar hai apni rani ka,
Jo likh de sunehra ant, is jadui kahani ka.

No comments:

Post a Comment