Saturday 11 June 2016

Teri Yaad

Main rahoon ya na rahoon is jahan mein,
Teri hasi ki baarish meherban rahegi,
Main gum bhi ho jaun pyaar ke karwan mein,
Teri yaadon ki lehren, mujhe saath le kar bahegi.

Tune maanga tha ek din mujhse pyaar ka hisaab,
Lagta hai ab wo udhari mere saath hi chalegi,
Bohot khali jagah thi mere aashiyane mein,
Nahi pata tha yahan dard aur khamoshi palegi.

Hawa ban kar udata tha tere baalon ko,
Chup ke se aa ke chum leta tha tere gaalon ko,
Par ab hawa paani sab dushman hain mere,
Main to yahin hun, par wo roz ja kar chu lete hain chehre ko tere.

Teri yaadon ki chadar mein lipta hun main,
Teri zulfon ke saaye mein kahin to zinda hun main,
Jee uthega yeh dil jab tera deedar hoga,
Warna aaj kal maut se bhi sharminda hun main.

No comments:

Post a Comment