Thursday, 12 January 2017

Shiksha

Jab bhi in aankhon mein khushi ka aansu aata hai,
Jab bhi yeh dil koi mukam paata hai,
Jab bhi mera sar dard pakad jaata hai,
Jab bhi koi gham dil ko yaad aa jaata hai,
Jab koi safalta mujhe gale lagati hai,
Jab kisi itr ki khusboo mujhe bohot bhaati hai,
Jab prakriti mujhe apne khubsurat rang dikhati hai,
Jab koi nukili cheez mere sharir par ghao kar jaati hai,
Jab der raat neend mujhe satati hai,
Jab thandi hawaein is sharir ko kapati hai,
Har us pal mujhe bas teri hi yaad aati hai,
Khushi ho ya gham, yeh dhadkan tujhe hi bulati hai,
Tujhe ishwar ne mere liye vardaan banaya hai,
Kyuki mere jeevan mein jab bhi aisa koi mod aaya hai,
Maine har us mod par tujhe apne saath khada paaya hai.

Wednesday, 11 January 2017

Behti Nadi

Kisi vishal parvat se hota hai uska srijan,
Chali hai apni lambi yatra shuru karne, bhigoke apna tan,
Jeevan hai uska srishti ki pyaas bhujana,
Par uski jeevan leela ko hai kitno ne jaana.

Peda hote hi uska sangarsh shuru ho jaata hai,
Path ka har patthar jaise use yudh ke liye lalkarta hai,
Un par vijay prapt kar ke hi aage hi raah savarti hai,
Har jeet ke baad wo apni awaaz se vijay ka udghosh karti hai.

Manav jaati mein wo maa kehlati hai,
Poore jeevan har kadam uski pyaas bujhati hai,
Uske sharir aur aatma ko pavitra karati hai,
Aur ant mein apne pran tyaag kar samudra mein mil jaati hai.

Nadi ne apna har lamha jiya bas tumahre liye,
Wo ladi to bas tumhe savarne ke liye,
Wo kati to bas tumhe ubharne ke liye,
Aur hum jeete reh gaye apna matlab nikalne ke liye.

Monday, 9 January 2017

Aazad Panchi

Panchi rehte hain aakaash ki fizaon mein,
Indradhanush ke saat rang milte hain jahan hawaon mein,
Pankh lehrate paar kar lete hain kai samandar,
Na jaane kis manzil ka raasta khoj rahe hain apne andar.

Koi sarhad ka darwaza unke liye nahi bana hai,
Use paar karna to bas insaanon ke liye mana hai,
Wo nahi humari tarah bani hui sadkon par chalte hain,
Wo to bekhauf nayi disha aur nayi uchaiyon ki aur badhte hain.

Unhe ghar ka moh bhi nahi satata hai,
Jahan ruk jaye udaan, wahi unka naya ghar kehlata hai,
Kabhi nadi ke kinare to kabhi ped ki daal par,
Wo shayad nirbhar rehte hain sirf apne ishwar ki dhaal par.

Kaash insaan bhi pakshi ki tarah soch paye,
Tod de apne saare bandhan aur apni khwahison ki aur kadam badhaye,
Chod ke har moh maya ko, apne bhitar ishwar jagaye,
Aazad ho jaye is duniya se aur apni khushiyon ko pankh lagaye.

Sunday, 8 January 2017

Tera Nasha

Nahi samajh paya tere jawabon ko,
Nasha chada hai aaj chalakti sharabon ko,
Pi liya ek jaam to mujhe bhi chad jayegi,
Jo hai khumari tere liye wo aur bhi badh jayegi.

Bohot piye hain jaam tere ishq ke pyale mein,
Nashe mein kar diya khud ko tere hawale mein,
Tune hi har kadam mujhko sambhala hai,
Tu hi mera sarmaya, tu hi rakhwala hai.

Har ghoont sharab ka tera nasha deta hai,
Teri yaad mein tarbatar duba deta hai,
Kaise wapas aaun phir hosh mein,
Aisa hi accha hun teri aaghosh mein.

Sharab ka nasha tujhse bohot kam hai,
Wo to gham ko bas bahar nikaal sakta hai,
Tu hi hai jo us gham ko mita sakta hai,
Aur is zindagi ko sada gulzar rakhta hai.

Saturday, 7 January 2017

Mere Khuda

Mere khuda ne aaj keh diya tu akela hai,
Khushi aur gham ka khel tere saath khela hai,
Unchi aawaz mein suna diya usne apna farmaan,
Tod ke le gaya meri rooh aur meri jaan.

Usne kaha har chaal tujhe hi chalni hai,
Yudh ki har chot tujhe hi khalni hai,
Main to raja hun, tujhe kuchal ke aage badh jaunga,
Har katl ka ilzaam tere hawale kar jaunga.

Badh jaana zindagi mein aage aur dhundh lena apna raasta,
Bhool jaana kabhi mujhse tha tumhara koi vaasta,
Maaf karna khuda par main ye nahi maan sakta,
Tere bina main khud ko hi nahi jaan sakta.

Tune diya tha saath isliye aaj yahan khada hun,
Tere sahare se hi itni aage tak bhada hun,
Kar le ek baar phir nazar apni riyasat ke is bande par,
Tanha mat chod ke ja use faasi ke fande par.

Friday, 6 January 2017

Tera Intezar

Yeh raaste kuch veeran ho gaye hain,
Khali kuch makan ho gaye hain,
Hai pasra yahan sirf ghana andhera,
Pehchanna mushkil hai, kaun hai kamzarf, kaun hai mera.

Mere aangan mein bas dhoop ka hi saya tha,
Andhera aisa pehle kabhi chaya na tha,
Ujle the din aur raat jis chaman mein,
Poore huye the main aur tum usi aman mein.

Ped ki shaakhein tere saath geet gaati thi,
Paani ki boondein teri sarsarahat se bheeg jaati thi,
Teri payal ki chan chan sugam sangeet banati thi,
Chand ki chandni bhi tera aashish le kar aati thi.

Intezar hai in sadkon ko teri aamad ka,
Andhere ki aane wali shamat ka,
Tere aane ka ehsaas mere saath hi hai,
Dekh le mera chehra, teri muskurahat mere saath hi hai.

Thursday, 5 January 2017

Tujhe Chua Hai

Aaj tujhe Jo chue hawa, wo main hi hun,
Teri rooh ko kapade, wo thandi fiza main hi hun,
Tujh mein ghul kar ho jaata hun main garm,
Teri har aahat, har saans hi karti hai mujhe narm.

Jo chuta hai tujhe ped se gira ek safed pankh, wo main hi hun,
Apne murshid se toota tera hone ke liye,
Sharir se dil ka safar poora karne ke liye,
Tujhe chu kar, ab main taiyar hun kisi bhi per ke neeche kuchalne ke liye.

Jo chuta hai tujhe paani, wo main hi hun,
Ek boond hi sahi, tujh par rehne ko tarasta main hi hun,
Jitna tujhe hai, usse zyada darr mujhe tere na hone ka satata hai,
Apne labon se laga kar, tu apni nahi, meri pyaas bujhata hai.

Tere sar ko aaram deta sirhana main hi hun,
Maine hi tere khilte huye chehre ko apne andar samaya hai,
Tere saare aansuon ko tujh se lag kar mitaya hai,
Tere saare haseen khwabon ko teri rooh tak pohochaya hai,
Tere saath hone ka rishta, mujhse behtar kisne nibhaya hai.