Wednesday 11 January 2017

Behti Nadi

Kisi vishal parvat se hota hai uska srijan,
Chali hai apni lambi yatra shuru karne, bhigoke apna tan,
Jeevan hai uska srishti ki pyaas bhujana,
Par uski jeevan leela ko hai kitno ne jaana.

Peda hote hi uska sangarsh shuru ho jaata hai,
Path ka har patthar jaise use yudh ke liye lalkarta hai,
Un par vijay prapt kar ke hi aage hi raah savarti hai,
Har jeet ke baad wo apni awaaz se vijay ka udghosh karti hai.

Manav jaati mein wo maa kehlati hai,
Poore jeevan har kadam uski pyaas bujhati hai,
Uske sharir aur aatma ko pavitra karati hai,
Aur ant mein apne pran tyaag kar samudra mein mil jaati hai.

Nadi ne apna har lamha jiya bas tumahre liye,
Wo ladi to bas tumhe savarne ke liye,
Wo kati to bas tumhe ubharne ke liye,
Aur hum jeete reh gaye apna matlab nikalne ke liye.

No comments:

Post a Comment