Monday 9 January 2017

Aazad Panchi

Panchi rehte hain aakaash ki fizaon mein,
Indradhanush ke saat rang milte hain jahan hawaon mein,
Pankh lehrate paar kar lete hain kai samandar,
Na jaane kis manzil ka raasta khoj rahe hain apne andar.

Koi sarhad ka darwaza unke liye nahi bana hai,
Use paar karna to bas insaanon ke liye mana hai,
Wo nahi humari tarah bani hui sadkon par chalte hain,
Wo to bekhauf nayi disha aur nayi uchaiyon ki aur badhte hain.

Unhe ghar ka moh bhi nahi satata hai,
Jahan ruk jaye udaan, wahi unka naya ghar kehlata hai,
Kabhi nadi ke kinare to kabhi ped ki daal par,
Wo shayad nirbhar rehte hain sirf apne ishwar ki dhaal par.

Kaash insaan bhi pakshi ki tarah soch paye,
Tod de apne saare bandhan aur apni khwahison ki aur kadam badhaye,
Chod ke har moh maya ko, apne bhitar ishwar jagaye,
Aazad ho jaye is duniya se aur apni khushiyon ko pankh lagaye.

No comments:

Post a Comment