Friday 6 January 2017

Tera Intezar

Yeh raaste kuch veeran ho gaye hain,
Khali kuch makan ho gaye hain,
Hai pasra yahan sirf ghana andhera,
Pehchanna mushkil hai, kaun hai kamzarf, kaun hai mera.

Mere aangan mein bas dhoop ka hi saya tha,
Andhera aisa pehle kabhi chaya na tha,
Ujle the din aur raat jis chaman mein,
Poore huye the main aur tum usi aman mein.

Ped ki shaakhein tere saath geet gaati thi,
Paani ki boondein teri sarsarahat se bheeg jaati thi,
Teri payal ki chan chan sugam sangeet banati thi,
Chand ki chandni bhi tera aashish le kar aati thi.

Intezar hai in sadkon ko teri aamad ka,
Andhere ki aane wali shamat ka,
Tere aane ka ehsaas mere saath hi hai,
Dekh le mera chehra, teri muskurahat mere saath hi hai.

No comments:

Post a Comment