Wednesday 4 January 2017

Meri Zindagi

Tere aane se Maine jaana, 
Pyaar lafs, hota hai kitna suhana,
Tera naam sun ke khil uthta hai mera chehra,
Shaam bhi apna sar jhuka ke bana deti hai sehra.

Is zindagi ki aayat tu hi hai,
Jab bhi bhatka main to raah dikha gayi,
Jab chua to lamha yaadgaar bana gayi,
Aur jab haath mein liya to mujhe bhi aayat bana gayi.

Ye nazren tujhe hi dhundhti hai har kahin,
Chahti hain deedar aur koi nahi,
Hun main bhi yahin, ho tum bhi yahin,
Ab Tum hi batao, yeh hai sitam ya hai Sahi.

Tera Saath hi to mera rutba hai,
Tujhse hi to aata mera har jazba hai,
Main tere bin Hun Kya, Meri koi aukaat nahi,
Main tere saath hi raha bas, aur Meri koi yaddasht nahi.

No comments:

Post a Comment